Posts

Showing posts with the label zindagi

Dil Aakhir Tu Kyu Rota Hai..

Seem to be in this mode of enjoying shayari..  What better way than this... Jab jab dard ka baadal chhaya Jab gham ka saya lehraaya Jab aansoo palkon tak aaya Jab yeh tanha dil ghabraaya Hum ne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai? Duniya mein yun hi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda gham hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai Credits: Lines written by Javed Akhtar for Farhan Akhtar in Zindagi Na Milegi Dobara

Talaash

Recently read these lines...  Apne gham ki numaish na kar, apne naseeb ki aazmaish na kar... jo tera hai tere paas khud aaega, har roz usse paane ki khwaish na kar... Chuu le tu aasmaan, zameen ki talaash na kar.. jee le tu zindagi, khushi ki talaash na kar.. Taqdeer badal jaegi apne aap he aey dost.. muskurana seekh le, wajah ki talaash na kar... So true....